Sunday 20 May 2012

VED ME NARASHANS (PROPHET MUHHAMMAD)--- DUSRA MANTRA





Bismillahirrahmanirraheem



VED ME NARASHANS (PROPHET MUHHAMMAD)--- DUSRA MANTRA:



" uski sawaari oont hogi aur uski 12 patniyan hongi, uska darja itna buland aur uski sawaari itni tez hogi ki wah aasmaan ko chhuegi phir utar aayegi "


yah mantra prophet muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke baare me bilkul saaf pesangoyi hai, iski har baat aap par fit baithti hai aur aap hi ke saath khaalis hai, yahan ishaara diya ja raha hai,


oont aapki sawaari thi, safar me, jungon me aur dusre aam mauqon par aap oont hi ki sawaari farmaya karte they,

naraashans ki sawaari oont hone se ek nateeja yah bhi nikalta hai ki uska aagman motors aur hawaai jahaaz (aeroplane) ke us daur tak ruka na rahega, balke us zamaane me hoga jab oont aur us jaise jaanwar sawaari ke taur par istemaal ho rahe honge, iske maana yah hain ki us rasool ke aagman ka zamaana guzar chuka,....

Aainda uske aane ka intezaar... Jaisa ke Hindu hazraat kar rahe hain, sahi nahi,


isse yah bhi nateeja nikalta hai ki iska aagman registaani (desert) ilaaqe me hoga kyonki oont registaani ilaaqe ki sawaari hai aur maalum hai ki mulk arab ek registani ilaaqa hai,


isse yah bhi malum huwa ki yah paighambar hindustan me paida na hoga, brahaman ya arya nasl se bhi na hoga, aur hindu dharm par bhi na hoga,

kyonki hindu dharm me paighambaron ke liye oont ka ghost aur dhoodh haraam hai, aur brahaman ke liye oont ki sawaari haraam hai,

brahman agar kisi dabaao ke beghair apni marzi se oont ya gadhe par sawaar ho jaaye to bhrast (napaak) ho jaata hai,

aur jab yah paighambar brahaman na hoga to arya nasl se bhi nahi ho sakta kyonki arya nasl me paighambari aur nubuwwat brahaman ke saath khaas hai,

jab yah taiy ho gaya ki naraashans registaani ilaaqe se hoga aur arya ya hindu na hoga toh yah bhi taiy ho gaya ki wah arab se hoga,


wah tajarrud (brahmacharya) ki zindagi guzaarne waala (brahmachaari) na hoga, balki shadi karega aur shadi bhi ek nahi 12 aurton se karega aur yah baat theek theek prophet muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par sahi aati hai,

aapki kul 12 patniyan thi, jabki aapke siwa kisi aur nabi ki patniyon ki yah tadaad na hui, aapki 12 patniyon ke naam ye hain:

1- sayyida hz khadija binte khuwailad (ra)

2- sayyida hz sauda binte jam'a (ra)

3- sayyida hz aisha binte abu bakr (ra)

4- sayyida hz hafsa binte umar (ra)

5- sayyida zainab binte khuzaima (ra)

6- sayyida umme salma binte abi umayya (ra)

7- sayyida zainab binte jahash (ra)

8- sayyida rehana binte zaid (ra)

9- sayyida juweriya binte haris (ra)

10- sayyida umme habeeba binte abu sufyan (ra)

11- sayyida safiya binte hai bin akhtab (ra)

12- sayyida maimoona binte haris (ra),


Note: is mantra ke pahle slok ke dusre alfaz ke anuwaad (translation) me thoda Sa ikhtelaaf hai, sanskrit ke mashoor hindustani aalim pandit " ved prakash upadhyay" ne apni kitab "narashans aur antim rishi" ke page no 14 me wahi anuwaad kiya hai jo guzar chuka hai,

lekin kuch dusre aalim kahte hain ki yahan ved ki pratiyon me ikhtelaaf hai, aam pratiyon me dwirdash (twelve) hai, yani dwaal aur sheen (both are arabic alphabets) ke beech ra zyada hai,

aur is prati ke mutabik yah arth kiya gaya hai ki " uski patniyan hongi aur uski sawaari ke liye 2 khoobsoorat oontniyan hongi, yah arth bhi prophet muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par hi fit aata hai,

aapke paas sawaari ke liye do khoobsurat oontniyan thi, ek ka naam " qaswa" aur dusri ka naam " azba" tha...


Kuch ne " door desh " ka arth kiya hai " double 10" yani 20...... Aur anuwaad (translation) yun kiya hai.

" uske paas 20 oontniyan hongi jin par wah khud sawaar hoga aur apni patniyon ko sawaar karega"

ab yah bhi Ajeeb baat hai ki prophet muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki milkiyat me kul 20 oontniyan thi, 2 sawari ke liye khaas thi, baaqi se dhoodh haasil kiya jaata tha lekin zarurat ke waqt wah sawaari ke liye bhi istemal ki jaati thi, khaaskar safar ke dauran aap patniyon ko unpar sawaar farmate they....

(dekhiya tabqaat ibne saad 1/494-495, ma'aarif ibne qateeba page 143, talqihul mafhoom ibne jawzi page 14)


yahan yah baat bhi yaad rakhne kaabil hai ki prophet muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki patniyon ke elawa kisi aur nabi ki patni ya patniyon ne oont ki sawaari nahi ki...

Is mantra ke dusre slok me isra aur meraj ke waqeya ke taraf ishaara hai, is waqeye me aapko " burraq" par sawaar kiya gaya jiska qadam wahan padta tha jahan uski nigaah jaati thi, usne raaton raat aapko aasmaano ki sair karaayi phir makka me la utaara, yah baat bhi prophet muhammad sallalaho alaihi wasallam(pbuh) Ke elawa kisi aur me nahi paayi gayi......



MANTRA NO -3 TO BE CONTINUED IN NEXT ARTICLE

Saturday 12 May 2012

VED ME " NARASHANS" (PROPHET)







Shuru allah ke naam se jo bada maherbaan aur raham karne waala hai



Pahle mantra:



" logon ! Dhyan se suno (with respect) ! Naraashans ki prashansha (tareef) ki jaayegi, ham us mujaahir... Ya shaanti ke dhwaj'waahaq (flag holder) ko 60090 dushmano ke beech mahfooz rakhenge"


(atharva ved slok no 1 )


1- aadar'poorvak (with respect) sunne ki yah taaqeed jo yahan hai, VED me aur jagahon par nahi paayi jaati, iske maayene yah hain ki jis shakhs ka yahan zikr aa raha hai, wah ved ki baaqi hastiyon se NIRAALI aur MAHAAN hai,


2- " NARAASHANS" sanskrit zabaan ka lafz hai jo asal me do lafzon (shabd) se milkar bana hai, ek lafz " nar" jiska maana hai " insaan ",

isko laakar ya bataane ka matlab hai ki yahan jis shakhs ka zikr ho raha hai wah insaano me se hai, VED ki dusri hasti ki tarah DEVTA (farishta ya jinn) nahi hai,


dusra lafz hai " NARAASHANS " iska matlab hai " wah shakhs jiski bahut Zyada prashansha (tareef) ki jaaye ",

isliye naraashans ka theek wahi matlab huwa jo lafz " MUHAMMAD " ka hai,

dono me iske siwa koi farq nahi ki " muhammad" arabic lafz hai aur "naraashan" sanskrit,

isliye agar ved me is shakhs ki aur koi tafseel na hoti, kewal (sirf) yahi mubaarak naam hota to yah is baat ko jaanne ke liye kaafi tha ki yah pesangoyi muhammad sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ke baare me hai,

lekin aage suniye: farmaya gaya


2- "NARAASHANS" ki prashansha (taareef) ki jaayegi,


muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki kitni taareef ki gayi hai, iska andaaza lagaana mushkil hai, aap

muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki seerat (biography) aur tareef me likhi gayi kitaaben kitni hai, iska andaza lagaana bhi mumkin nahi,

musalmaan toh musalman, alag alag dharmon aur ghair muslimo ne bhi aap

muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki tareef me itna kuch likha hai ki Khud apne deen wa dharm ke nabi ke baare me iska thoda sa hissa bhi nahi likha, balki un nabiyon ke baare me unke paas kuch zyaada likhne ke liye hai hi nahi,


hz musa (as) se unke sad'karmo (nek kaamo) ke ba'wajood yahudiyon ko hamesha shikaayat hi rahi hai,

isaaiyon ke paas hz isa (as) ke kuch chamatkaar, kuch misaalein, kuch kadwe bayaanaat, saleeb (cross) par chadhne aur aasmaan par jaane ki ghatnaao (waqeyaat) ke siwa kuch nahi, jinme tareef kam aur apmaan ka pahlu zyada nikalta hai,

hinduon ki pavitra(pak) hastiyan aur bhi zyada parde me hain, phir un par sahih ghalat jo kuch wah likh sake wah muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki ki gayi tareef ke muqaable me aise hi hai jaise samundra ke muqaable me boond,


aur yah jo bhavishya ke qalime se farmaya gaya ki " NARAASHANS KI PRASHANSA KI JAAYEGI " iske maane yah hain ki is atharva ved ke sampaadan ke zamaane tak " naraashans" bheje nahi Gaye aur tamaam shodh'kartaaon (researcher) ki sahmati (ittefaq) hai ki " atharva ved" chauthi aur aakhiri ved hai, jo pahli 3 vedon se kaafi baad me likhi gayi hai, aur idhar haal yah hai ki sabse pahle ved jo bahut pahle likhi gayi thi usme sikandar ke daur ki balke uske baad ke daur ki kuch hastiyan aur kuch ghatnaao ka zikr hai,,

isliye jab sabse pahli aur puraani ved is hadh tak sanchhipt hain to kuch tajjub nahi ki sabse aakhiri ved hz isa (as) se bhi baad ki ho, isse naraashan ke prakatan ke waqt ka andaza kiya ja sakta hai,


is mantra ke dusre slok me naraashans ko " koram " kaha gaya hai, lafz " koram " ke do maane hai,

ek " mujaahir " dusre " shaanti ka dhwaj'waahaq (flag holder) "

inme se jo maane bhi karen sabse zyada

muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) is par fit baith'te hain, aap

muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne makka se madeena hijrat ki jo ambiya ke itihaas (history) ki sabse mashoor ghatna(waqeya) hai,


aap

muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) hi shanti ke dhwaj'waahak they, iska andaza isse kiya ja sakta hai ki aap

muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke aagman ke waq madeena me jahan aap muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hijrat ki, "aus" wa " khajraj" ke beech 100 saal se rah rahkar ladaayi chali aa rahi thi, mashriqi (north) arab me " baqr" wa " taghlab" ke beech 40 saal se ladaayi chali aa rahi thi, jisme dono ke 70000 aadmi maare ja chuke they,

beech (central) arab me " abas" wa "zubyan" ke beech tahalka macha huwa tha,

yemen ke yahudi hukmarano ne " nazraan " ke isaayi baashindon ko zinda jala daala tha, jawab me "habash" ke isaaiyon me yemen par kabza karke wahan ki eent se eent baja di thi, fir kaaba dahaana chaaha toh allah ke azaab ne unki qamar todh di, isse faayeda uthaakar yemen par faarsi (persian) chadh aaye, Har taraf se jung wa maarkaat ka toofaan maujood tha,

qabaail apne aawaas grahon (homes) me qaid they, phir bhi hamlawaron se mahfooz na they, makaano se baahar nikalna maano maut ko daawat dena tha,

sirf dhaarmik(religious) hurmat ke 4 mahine uske liye shaanti waale they, lekin is thodi se muddat ke liye bhi jung se alag rahna unke liye mushkil ho jata tha aur wah kuch mahino ko aage peeche karke us dauraan bhi jung ka mauqa nikaal lete they,


is toofaan ke dauraan

muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki daawat zaahir hui, log

muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se bhi isi dhang se pesh aaye, lekin aap muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne dusre tareeqe se jawab diya,

nateeja yah huwa hi poora arab sirf 8 saal ki muddat me shaanti ka gadh ban gaya,

wah jo 40 aur sau sau saalon se ladhte chale aa rahe they, is tarah bhai bhai ho gaye ki har ek dusre ki jagah apni jaan dena Apne liye sa'aadat samjhne lage, jahan kaafile raah chalte hue loote aur maare jaate they, wahan hodaj nasheen aurat akeli sainkdon meel se aati jaati aur koi tirchi nazar uthaakar dekhne waala na hota tha,


matlab yah ki ambiya ke poore itihaas me shaanti qayem karne ka yah kaarnaama muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke elaawa kisi ne anjaam na diya,


is mantra ke aakhiri slok me yah bhi kaha gaya hai ki allah aapke dushmano ke beech jinki taadaad 60090 hogi, aapki hifaazat (raksha) karega,


isme dushmano ki tadaad ka baareeqi ke saath bataayi gayi hai aur is bina par yah badi mahaan aur hairat'naak pesangoyi (prophecy) hai,


researchers iska badal dhoondne aur muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par isko ghalat saabit karne ke silsile me hairaan wa pareshaan hain aur bhaag daudh kar boodhon, bacchon, aur aurton samet makka ki aabaadi ka hisaab lagaate firte hain jo bilkul ghalat hai,




Hifaazat ka sawaal us dushman se paida hota hai jo aapke qatl ke darpe ho, isliye aurton, bacchon aur boodhon ko ginna sahih nahi aur unko milaakar bhi makka ki aabaadi us tadaad ko bilkul bhi nahi pahunchti thi,


sahi yah hai ki dushman se muraad wah sainik hain jo talwaar lekar aapke muqaable aaye, ya jinhone khoofiya tareeqe se aapko qatl karne ki koshish ki kyonki unhi se aapko jaan ka khatrah tha,

isliye unhi se aapki hifaazat bhi karni thi aur badi hairat se suniye ki is qism ke aapke dushmno ki tadaad theek 60090 thi,

"quraish" aur unke saathi "banu gitfaan" aur unke shurka kul 10,000 they, jo jung e khandak me saath aaye they,
aur dusri jungon me chhoti chhoti toliyon ke andar,

isi tarah yahud ke wibhhinn qabeele ke sainikon ki tadaad 10,000 thi jo khaibar me lagbhag ek saath lade aur baaqi jungon me alag alag,

roomi (romans) jinhone madeena par dhaawa bolkar uski eent se eent bajaani Chahi aur jinse muqaable ke liye muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) tabook tashreef le gaye toh saamne na aaye, unki tadaad 40000 thi kul dushman 7 hue,

kapti jinhone tabuk me saath jaane se chhama yaachna kar li 80 they, aur jo tabuk me rah gaye wah 12 ya 13 they, unhone waapsi me aapko qatl karne ka bhi iraada kiya lekin naaqaam rahe,

unme se 2 ya 3 pash o pesh me they aur unhone tauba kar li, 10 kapat par qayem rahe,

is tarah unki kul tadaad 60090 hui, yun aapke qatl ke abhilaashi dushmano ki tadaad theek 60090 hoti hai, jinke beech allah ne aap muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hifaazat ki,


NOTE: mantra ke is tukde me lafz " rosham" istmaal huwa hai, yah jahan dushmani ke maane me istmaal hota hai wahi zazeeratul arab ke baashindon par bhi bola jaata hai, yahan agar yah dusra maana liya jaaye toh is baat ka pata ho jaata hai ki "NARAASHANS" ka talluk zazeera tul arab se hoga,

Aur malum hai ki zazeera tul arab se sirf muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) bheje gaye hain...



Slok no- 2 should be continued in next article

Sunday 14 August 2011

NARASHANS AUR USKI KHOOBIYAN(MUHAMMAD SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM)

SHURU EK ALLAH KE NAAM SE JO BADA MAHERBAAN AUR RAHAM KARNE WAALA HAI



VEDON ME NARASHANS:


Hindu dharm ki sabse mashoor aur pahli kitab ved hai..


VED 4 HAIN

1- Rig ved

2- yazur ved

3- sam ved

4- atharva ved


in vedon aur khaaskar rigved ka andaaz yah hai ki wahi kisi muqaddas(special) insan (devta aur kabhi kabhi insan) ko chayan(choose) karke use ek ya kuch baar zikr karti hai, uske gud aur khoobiyan bayan karti hai aur kabhi kabhi kast wa mushkilaat ke nivarad ke liye use pukaarti bhi hai ya zikr wa khitab kabhi lamba aur mantron ke pure sangrah(group) par aadharit(based) hota hai aur kabhi sanchhipt hota hai aur ek do mantra par khatm ho jaata hai, phir koi aur bayan shuru ho jaata hai, NARASHANS ka zikr Charon vedon me hai. Lekin sabse zyada zikr atharva ved me hai.. SABSE PAHLE YAHI BAYAN HAI


1 -"Edum bna up shurut narashans stripyte|

pashti sahsa nawti ch fauram aa wash mesu daghyte "




2- " dabtra yasya prawaahini wadhumandi duirdrash |

wardha rayasya ni nihi patte div iepyaad upsparsh || "


3- " aep rishyanse gaa mahe shatam nishkaan dash sajah |

trini shataanyyar-tada sahsa dash gonaam ||


4- "wachayasya rem wachayasya warrche na pakwe shakunah |

oshte jiha charchareeti chunri n bhuri jeeriv ||


5- " pra re bharaasi maneesh wrasha gaao everate |

ayot putraka epaaymot ga iwaaste ||


6- Pra rem ghiyam bharashchya govindam wasuwidam|

dev tremam waacham kradhipu na peero atta ||


7- raasha wish-chawjani nashya yo devo matarya aji |

vaishwanarashya sustutiya ghradita parishit||


8- parichhin chhem-matruttya aasan maacharan |

kulaayam kradanvan kaurayah patirvadti gaapya ||

9- " katrat t aa haraani daghi manyam paris trutam|

jaaya pati wi prachchati raastre raajhah parichit ||


10- ameev swah praaji heete yawah pakwah para trilam |



Janah sa bhadrameghte raastre raagyah parichhit ||


11- indrah kaaru matru vudh-dhantisth vichra janam |

mamedu grasya chakrudhi sarv iyat te parida dari ||


12- ih gaao prajaaydhavmihaagha ih purusha |

iho sahastra dashidopi poosa ni peeshdi ||


13- moma indra gaawo rishan mo aasam gopti rishat |

maasa mamitra yurjan indra ma sten isat ||

14- up naram nonumansi sakten wachsa wayam bhadren wachsa wayam |

chano daghiptra no giro na rishyem kadachan ||



yah kul 14 mantra hain jo atharva ved, kaand 20' sukt 127 mantra 1-14 par aadharit hain,

Pahle unka serialwise anuwaad(translation) kiya ja raha hai phir iski vyakhya(tashrih) ki jaayegi, anuwaad yah hai


1- logon ! Aadar purwak(with respect) suno ! Narashans ki tareef ki jaayegi, ham us doot(messenger) ya shaanti(peace) ke dhwajwaahak(flag holder) ko 60090 dushmano ke darmiyan surakshit(safe) rakhenge.


2- uski sawaari oont (camel) hoga aur uski 12 biwiyan hongi, uska darja itna buland aur uski sawari itni tez hogi ki wah aasmaano ko chhuegi, phir utar aayegi.


3- usne "maamah" rishi ko 100 asharfiyan, 10 haar, 300 ghode aur 10000 gaayen(cow) pradaan ki


4- prachaar(tableegh) kar aiy ahmad ! Tableegh kar jaise chidiya(bird) pake hue fal(fruit) waale ped(tree) par chahchahati hai, teri zabaan aur tere dono honth kainchi(scissor) ke dono falon ke tarah chalte hain.


5- stuti karne waale apni stuti ke saath ya namazi apni namazon ke saath taaqatwar saand(ox) ki tarah jung me jaate hain aur unke santaan(aulaad) apne gharon me yun shurakshit(safe) rahti hai jaise gaaye apne thikaano me


6- aiy ahmad! Is kalaam haqeem ko mazbooti se pakad ki ya gaayon(cows) aur maalon ki dharohar(milqiyat) hai aur ise bhale logon tak pahuncha, jaise bahadur nishaane par teer maarta hai



7- wah duniya ka sardar jo devta hai, sabse bahtar insan hai, saare logon ka rahnuma aur sab kaumon me mashoor, uski badhayi bayan karo


8- us mashoor insan ne ghar ki tameer ke dauran hukumat ya adalat haath me lete hi har taraf shaanti(peace) kayam kar di aur yah baat har shauhar apni patni(wife) se zikr kar raha tha.


9- is mashoor insaan ki hukumat me ek patni apne pati se poochti hai ki main aapke liye kya laaun?? Dahi(curd)?? Lassi?? Ya koi aur pey(drink)??


10- ek paka huwa(barley) jo ghade se nikal kar aasmaan tak jaata hai, use mashoor shakhs ki hukumat me insaan taqwa aur khair ke andar tarakki karta hai.


11- allah ne ahmad ko jagaaya ki uth ! Aur yahan wahan logon ke paas ja aur me badhaai kar, nischaye(beshak) ki main hi ghalib hun, main tujhe saari nematen dunga.


12- yahan aiy gaayon ! Yahan aiy ghodon ! Yahan aiy insano ! Tarakki karo aur badho kyonki faqeeron ka sahara aur Hazaaron ki khairaat karne waala yahan baitha hai


13- nahi aiy rabb! Yah gaaye vinasht(barbaad) na hon aur unka charwaha vinasht na hon aiy rabb ! Unke dushman aur daaku par vijay na paayen....


14- aur bade acche kalam se bade adab ke saath ek bahadur ke gun aate hain, tu kushi se hamare geet kubool farma, taaki ham kabhi bhi halaqat ya khasaare me na rahe....